apna dukh jaise dabaya hai maza aaya hai

apna dukh jaise dabaya hai maza aaya hai
tir palkon se uthaya hai maza aaya hai

kaamyabi ki khushi aur nasha apni jagah
ye jo dushman ko jalaya hai maza aaya hai

us ko taklif mein rakhna mera maqsad hi nahin
sirf ehsas dilaya hai maza aaya hai

dil to dil hai ye koi phul nahin hai lekin
aap ne jaise churaya hai maza aaya hai

ab kaho shauq-e-mulaqat mein udne walo
hijr ka bojh uthaya hai maza aaya hai

kam se kam roz ye lahja to badalti nahin nan
dil kitabon se lagaya hai maza aaya hai

wo jo munsif hai pareshan hai wo aise hi nahin
aaina us ko dikhaya hai maza aaya hai

chhod jaana bahut aasan tha lekin 'shahbaz'
main ne rishte ko nibhaya hai maza aaya hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close