apna kirdar bachane mein lahu lagta hai

apna kirdar bachane mein lahu lagta hai
zindagi tere fasane mein lahu lagta hai

hijr ki aag sharabon se kahan bujhti hai
hijr ki aag bujhane mein lahu lagta hai

khun thukwata hai har bar tera nam mujhe
tujh ko aawaz lagane mein lahu lagta hai

ye wo duniya hai jahan aane mein aasani hai
han magar laut ke jaane mein lahu lagta hai

is liye bhi main bujha rakhta hun mazi ke charagh
un charaghon ko jalane mein lahu lagta hai

aur taswiren to banti hain faqat rangon se
us ki taswir banane mein lahu lagta hai

jin ki rag rag mein ho pani wo mohabbat na karen
is mohabbat ko nibhane mein lahu lagta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close