apna milan kisi ki dili bad-dua bhi hai

apna milan kisi ki dili bad-dua bhi hai
yani hamara wasl hamari saza bhi hai

al-mukhtasar tumhaari mahak odhte hue
ehsas ho gaya ki use phailna bhi hai

is par thahar sake to thahar chal sake to chal
ye dil qayam-gah bhi hai rasta bhi hai

achchha teri nazar mein bahut mukhtalif hun main
yani teri nazar mein koi dusra bhi hai

sari hison ki dor samaat ko saunp kar
us dil pe kan rakh ki khuda bolta bhi hai

tujh se khushi ghami ka tafarqe mita ki tu
ek khush-gawar yaad bhi hai saneha bhi hai

har ek dastan ke har ek mod par
'haaris' ye sochna kabhi aisa hua bhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close