apna to chahaton mein yahi ek usul hai

apna to chahaton mein yahi ek usul hai
tera bhala-bura hamein sab kuchh qubul hai

ye umr-bhar ka jagna be-kar hi na jae
to nan mila to sari riyazat fuzul hai

khud hi kaha tha tu ne meri jaan chhod de
ab chhod di to kyun tera chehra malul hai

ai man ye meri shohraten meri ye izzaten
kuchh bhi nahin hai bas tere qadmon ki dhul hai

aai jo teri yaad to aankhen baras padin
is waqt tere dard ka dil par nuzul hai

ek dusre ke waste donon bane 'wasi'
gul-dan mera dil hai teri yaad phul hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close