apne abru aaine mein dekh kar bismil hua

apne abru aaine mein dekh kar bismil hua
khinch kar talwar apna aap wo qatil hua

bhag kar kab tujh se jaan-bar koi ai qatil hua
ud chala gar hosh apna tair-e-bismil hua

ab kahan nale ki us laila ka maskan dil hua
tha jaras jo pesh-e-azin wo in dinon mahmil hua

nam-e-nek ahal-e-hukumat ko kahan hasil hua
khalq mein mashhur ek nau-sherwan aadil hua

sar se pa tak har sanobar hi faqat kya dil hua
dekh kar us sarw-qad ko sarw bhi mail hua

is ada se badh dekhi aap ne talwar ki
tair-e-rang-e-hina bhi tair-e-bismil hua

dhyan us ke band karne ka agar aata tujhe
kyun na tera rakhna-e-dar mera chaak-e-dil hua

hai ye gham jaan-kah khal-e-abru-e-khamdar ka
kabe mein kahida ho kar sang-e-aswad dil hua

jo yahan maghlub hai uqba mein ghaalib hai wahi
markab-e-maqtul hai ek roz jo qatil hua

dhoe hain dhobi ne dariya mein jo kapde yar ke
aaj koson tak moattar daman-e-sahil hua

dilbari ka jab hua us sarw-qamat ko khayal
uzw uzw apna wahin misl-e-sanobar dil hua

sab ke khaliq ne banae kasa-e-sar wazhgun
aadmi is par bhi pesh-e-admi sail hua

bujh gaya mera charagh-e-dagh wasl-e-yar mein
nur-e-mah nazdiki-e-khurshed se zail hua

jo pari-ru baithta hai aa ke uth sakta nahin
ab to naqsh-e-boriya ka khub main aamil hua

jazb-e-jinsiyyat baham rahne nahin deta firaq
kal bana jo jism-e-khaki aaj gil-dar-gil hua

hae kis qatil-ada se ki shurua us ne namaz
nikli jab takbir us ke munh se main bismil hua

kahte hain zahid meri diwangi ko dekh kar
but-parasti ke sabab qahr-e-khuda nazil hua

jab tasawwur yar ka bandha hum aap aae nazar
samne aankhon ke aaina hamara dil hua

aashiq-e-be-nang se hota hai mashuqon ko nang
pairahan majnun ka phat kar parda-e-mahmil hua

samne mere raha gar sham se le ta-sahar
husn mein gar misl-e-mah-e-chaardah kaamil hua

ruh-e-'nasikh' hai usi ki ruh-e-aqdas par nisar
barha jis ke liye ruhul-qudus nazil hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close