apne afkar-o-andaz naya deta hun khushk manzar mein hasin rang mila deta hun kitna hota hai mere dil ko khushi ka ehsas koi pauda jo sar rah laga deta hun waise to sare zamane se chhupa hai mera haal tum agar puchh rahe ho to bata deta hun roz hoti hai hawaon se ladai meri roz dahliz pe ek shama jala deta hun kya diya mujh ko kisi ne hai alag baat magar dekhna ye hai zamane ko main kya deta hun