apne dil-e-muztar ko betab hi rahne do chalte raho manzil ko nayab hi rahne do tohfe mein anokha zakhm haalat ne bakhsha hai ehsas ka khun de kar shadab hi rahne do wo hath mein aata hai aur hath nahin aata simab-sifat paikar simab hi rahne do gahrai mein khatron ka imkan to ziyaada hai dariya-e-talluq ko payab hi rahne do ye mujh pe karam hoga hisse mein mere ai dost ikhlas o murawwat ke aadab hi rahne do ibham ka parda hai tashkik ka hai aalam tum zauq-e-tajassus ko betab hi rahne do mat jao qarib us ke tum ek gahan ban kar aangan mein use apna mahtab hi rahne do jab tak wo nahin aata ek khwab-e-hasin ho kar tum apne shabistan ko be-khwab hi rahne do wo barf ka toda ya patthar nahin ban jae har qatra-e-ashk-e-gham sailab hi rahne do wo bahr-e-fana mein khud duba hai to achchha hai filhaal 'zafar' us ko gharqab hi rahne do