apne diwar-o-dar se puchhte hain ghar ke haalat ghar se puchhte hain kyun akele hain qafile wale ek ek ham-safar se puchhte hain kya kabhi zindagi bhi dekhenge bas yahi umr-bhar se puchhte hain jurm hai khwab dekhna bhi kya raat-bhar chashm-e-tar se puchhte hain ye mulaqat aakhiri to nahin hum judai ke dar se puchhte hain zakhm ka nam phul kaise pada tere dast-e-hunar se puchhte hain kitne jangal hain in makanon mein bas yahi shahr bhar se puchhte hain ye jo diwar hai ye kis ki hai hum idhar wo udhar se puchhte hain hain kanizen bhi is mahal mein kya shah-zadon ke dar se puchhte hain kya kahin qatl ho gaya suraj raat se raat-bhar se puchhte hain kaun waris hai chhanw ka aakhir dhup mein ham-safar se puchhte hain ye kinare bhi kitne sada hain kashtiyon ko bhanwar se puchhte hain wo guzarta to hoga ab tanha ek ek rahguzar se puchhte hain