apne gham-KHane ka qissa apne virane ki baat

apne gham-khane ka qissa apne virane ki baat
aap se hum kyon kahen apne sanam-khane ki baat

raaz kya hai mai-kashi mein kya hai paimane ki baat
tujh ko kya malum zahid kya hai maikhane ki baat

ab bahut hi chur hain hum baad-e-gham se ai nadim
kuchh hon maikhane ki baaten kuchh ho paimane ki baat

ab tumhaari khamushi se ghut raha hai dam mera
kuchh karo phir kuchh karo tum dil ke tadpane ki baat

aaoge tum ya na aaoge mujhe malum hai
kam yahi kya hai jo tum karte ho bahlane ki baat

main ne chaha tha tumhein tum ne bhi chaha tha mujhe
ye kahani hai purani ye hai afsane ki baat

ya ilahi khair ho ab dekhiye hota hai kya
sun rahe hain ghaur se wo aaj diwane ki baat

main ne jab kholi zaban to hogi wo hi baat talkh
aap to karte hain jaise phul barsane ki baat

kis ko aata hai khushi mein ek bekas ka khayal
kaun ai 'tishna' kare gulshan mein virane ki baat


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close