apne ghar se mere ghar tak kuchh lamhon mein aaega itni masafat mein logon ko kitne rang dikhaega dhup thi sarson ki kyari mein donon mil kar soe the ye manzar bhi sath hamare dar dar thokar khaega phir wo shair raat gae us shahr mein tanha phirta hai us ko kahna sabr kare milne ka mausam aaega sari raat wo sath rahe sae ki tarah hum se dur hum bhi sath lage rahte hain kabhi to mil hi jaega raat ki kali chadar le kar din bhar soe rahte hain dekhen kab wo suraj ban kar hamein jagane aaega