apne hathon mein mohabbat se mera hat liye

apne hathon mein mohabbat se mera hat liye
chandni aai magar hijr ki saughat liye

dil ke jalte hue zakhmon ke nagar mein ai dost
kaun phir aaya hai ashkon ki ye barsat liye

dekh ye manzar-e-dil-doz ki hai qabil-e-did
subh-e-nau mere liye aai siyah raat liye

ban gai jo kabhi naghma kabhi jugnu kabhi phul
de ke sarmaya-e-jaan hum ne wo jazbaat liye

mere ghar mein to charaghon ka dhuan tak bhi nahin
raat nikli hai hasin chand ki baraat liye

dil jo tuta to har ek saz-e-tarab tut gaya
'raj hum rote rahe dard ke jazbaat liye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close