apne hisar-e-jism se bahar bhi dekhte

apne hisar-e-jism se bahar bhi dekhte
hum aaine ke samne ho kar bhi dekhte

aks-e-falak se tutta kaise jumud aap
patthar gira ke jhil ke andar bhi dekhte

karte palat ke apne hi sae se guftugu
sahra mein zard-rang samundar bhi dekhte

duniya ka khauf tha to lagate na aag hi
ya mom ka pighalta hua ghar bhi dekhte

'hamid' tamam umr ye khwahish rahi hamein
apne badan ki marg ka manzar bhi dekhte


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close