apne hone ka koi saz nahin deti hai ab to tanhai bhi aawaz nahin deti hai jaane ye kaun si manzil hai shanasai ki zat-e-mutlaq koi eajaz nahin deti hai apni uftad tabiat ka gila kya ho ki jo khwahishon ko par-e-parwaz nahin deti hai saat-e-khubi guzar jati hai aate jate par ye tahrik-e-tag-o-taz nahin deti hai jaane kyun apni ana dahr se qurbat ke liye koi parwana-e-aghaz nahin deti hai raat mere liye ginti hai 'taraaz' apne nujum mere hone ka magar raaz nahin deti hai