apne hone ki tab-o-tab se bahar na hue hum hain wo sip jo aazada-e-gauhar na hue harf-e-be-saut ki manind rahe duniya mein dasht-e-imkan mein khule naqsh-e-musawwir na hue phul ke rang sar-e-shakh-e-khizan bhi chamke qaidi-e-rasm-e-chaman khak ke jauhar na hue thak ke girte bhi nahin ghar ko palatte bhi nahin najm-e-aflak hue aas ke tair na hue us ki galiyon mein rahe gard-e-safar ki surat sang-e-manzil na bane rah ka patthar na hue apni nakaam umidon ke kham-o-pech mein gum abr-e-kam-ab the hum rizq-e-samundar na hue