apne jaisa bhi koi usko nazar aaega

apne jaisa bhi koi us ko nazar aaega
chand us raat mein dharti pe utar aaega

apne lahja ko zara sakht bana kar dekho
kuchh dinon baad tumhein farq nazar aaega

sath mein rah ke saperon ke guzaren kuchh din
sanp ke phan ko kuchalne ka hunar aaega

muskuraata hai to phir sath raha kar mere
kuchh na kuchh to meri sohbat ka asar aaega

apni aulad ke jazbaat samajh le warna
tera beta na kabhi laut ke ghar aaega

jis ko sar kar ke masarrat hi milegi 'danish'
marhala aisa bhi dauran-e-safar aayega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close