apne jauhar se siwa bhi koi qimat mange dil wo aaina nahin hai ki jo surat mange main ne dariyaon mein bhi dasht ka manzar dekha jab ki pyasa koi pani ki ijazat mange us ki raftar ki taswir banai na gai kis qayamat ko ye hangam qayamat mange naz ki qamat-e-zeba ki bayan kya kije pairahan bhi jahan uslub-e-nazakat mange jitna hota hai kam aasar-e-khushi ka lamha dil mera dard se utni bhi na mohlat mange har taraf shor hai aawazon ka taswiron ka kaun ghabra ke na ab gosha-e-uzlat mange khwab utre hain mere zehn pe jaise ilham kaun in khwabon se tabir ki qimat mange kaun maslub hua kis pe laga hai ilzam kashmakash aisi hai insaf adalat mange