apne kahte hain koi baat to dukh hota hai

apne kahte hain koi baat to dukh hota hai
hans ke karte hain ishaaraat to dukh hota hai

jin se mansub mere dil ki har ek dhadkan ho
wo na samjhen mere jazbaat to dukh hota hai

mujh ko mahrum kiya tum ne gila koi nahin
hon jo ghairon pe inayat to dukh hota hai

jism-o-jaan jin ke liye hum ne luta dale hun
chhod jaen jo wahi sath to dukh hota hai

dur se roz-e-masarrat ka dikha kar baadal
gham ki karte hain jo barsat to dukh hota hai

hijr mein din to kisi taur guzar jate hain
jalne lagti hai kabhi raat to dukh hota hai

be-sabab chhod diya us ne koi baat nahin
log karte hain sawalat to dukh hota hai

mujh ko be-laus mohabbat ke ewaz mein 'shamsi'
ho ata zakhm ki saughat to dukh hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close