apne khoe hue lamhat ko paya tha kabhi main ne kuchh waqt tere sath guzara tha kabhi aap ko mere taaruf ki zarurat kya hai main wahi hun ki jise aap ne chaha tha kabhi ab agar ashk umandte hain to pi jata hun hausla aap ke daman ne badhaya tha kabhi ab usi git ki lai soch rahi hai duniya main ne jo git teri bazm mein gaya tha kabhi meri ulfat ne kiya ghair ko mail warna main teri anjuman-e-naz mein tanha tha kabhi kar diya aap ki qurbat ne bahut dur mujhe aap se buad ka ehsas na itna tha kabhi dost nadan ho to dushman se bura hota hai mujh ko apne dil-e-nadan pe bharosa tha kabhi