apne lahu mein zahr bhi khud gholta hun main soz-e-darun kisi pe nahin kholta hun main aflak meri durd-e-tah-e-jam mein hain gum tasbih-e-mahr-o-anjum-o-mah rolta hun main kuchh na samajh ke uth chale sab mere gham-gusar jaane wahi ki jis ki zaban bolta hun main kya jaane shakh-e-waqt se kis waqt gir padun manind-e-barg-e-zard abhi dolta hun main bazar-e-dil mein dard ka gahak nahin koi mizan-e-arzu mein ziyan taulta hun main 'imrran' bu-e-gul se hain nakhun mahak uthe ye kis hasin ke band-e-qaba kholta hun mein