apne lahu se nam likha ghair ka bhi dekh zinda hai to shaqawat-e-dasht-e-bala bhi dekh aankhon ke aainon ka to pani utar gaya ab jism chob-e-khushk hai ye saneha bhi dekh hoti hai zindagi ki hararat ragon mein sard sukhe hue badan pe ye chamda kasa bhi dekh betabiyon ko sine ke andar samet le fitne ko apni had se musalsal badha bhi dekh har zarra ibraton ke samundar ki shakl hai sahra-naward-e-shauq kabhi naqsh-e-pa bhi dekh pahchan apni ho to mile manzil-e-murad 'nahid' gahe gahe sahi aaina bhi dekh