apne taKHaiyyulat ka naqsha nikal ke

apne takhaiyyulat ka naqsha nikal ke
ghazlen kahin hain khun pasina nikal ke

ghar ko kiya tha saf kisi ka mita ke ghar
afsos kar raha hun main jala nikal ke

tum ko qalandari ki hai dil mein jo aarzu
rakhni padegi dil se ye duniya nikal ke

ab us ki asliyat hai zamana ke samne
chehre se us ne rakh diya chehra nikal ke

maujon se ladna us ki thi aadat isi liye
wo aa gaya kinare pe rasta nikal ke

dil bujhte bujhte mera achanak chamak utha
ye kaun khinch laya ujala nikal ke

aankhen tarerte hue wo dekhte hain ab
rakkha tha jin ko apna kaleja nikal ke

puchho na be-zamiron se kaise bache 'adib'
le aae apne aap ko zinda nikal ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close