apne upar zulm karunga ulTa sidha sochunga

apne upar zulm karunga ulta sidha sochunga
jab tak hosh rahega mujh ko sari duniya sochunga

sukh-dukh se hat kar insan ko aur bhala jina kya hai
bandh ke raaton ke daman se dhup sarapa sochunga

ek hath mein pyasi raaten ek hath mein bhige din
achchhe din jab kho jaenge bura bura sa sochunga

ji karta hai shisha ban kar main us se takra jaun
wo patthar-dil rah-e-talab mein patthar kab tha sochunga

kaenat ka zarra zarra khud chehra khud aaina
aankhen jitni sath rahengi khud ko utna sochunga

raushan ghar raushan angnai raushan din raushan raaten
un ke bich mera dil kyon hai itna dhundla sochunga

behtar hai bas apni gahrai mein ja kar baith rahun
aur bikhar jaunga shayad tum ko jitna sochunga

waqt bhi kab se bhag raha hai apne markaz ki jaanib
mere sath rahega kab tak koi apna sochunga

yun bhi rah-e-fikr-o-nazar mein jiwan bhar bhatka 'parwaz'
apni gumrahi ka ye gham aakhir kitna sochunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close