apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai

apni aag ko zinda rakhna kitna mushkil hai
patthar bich aaina rakhna kitna mushkil hai

kitna aasan hai taswir banana auron ki
khud ko pas-e-aina rakhna kitna mushkil hai

aangan se dahliz talak jab rishta sadiyon ka
jogi tujh ko thahra rakhna kitna mushkil hai

dopahron ke zard kiwadon ki zanjir se puchh
yaadon ko aawara rakhna kitna mushkil hai

chullu mein ho dard ka dariya dhyan mein us ke hont
yun bhi khud ko pyasa rakhna kitna mushkil hai

tum ne mabad dekhe honge ye aangan hai yahan
ek charagh bhi jalta rakhna kitna mushkil hai

dasi jaane tute-phute giton ka ye dan
samay ke charnon mein la rakhna kitna mushkil hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close