apni aankhon ko kabhi thik se dhoya hi nahin sach kahun aaj talak khul ke main roya hi nahin mere lafzon se mera dard jhalak jata hai jabki is dard ko aawaz mein boya hi nahin ek dafa nind mein khwabon ka janaza dekha baad us ke main kabhi chain se soya hi nahin tang galiyon mein mohabbat ki bhatakte hain sab main ne koshish to kai bar ki khoya hi nahin sans ruk jae tadapte hue yaadon mein kahin hijr ka bojh kabhi dil pe yun dhoya hi nahin main kahani mein naya mod bhi la sakta tha main ne kirdar ko aansu mein bhigoya hi nahin apne rishte ka bhi ab 'mit' bikharna tai tha hum ne wishwas ke dhage mein piroya hi nahin