apni alag hi samt mein rahen nikal kar

apni alag hi samt mein rahen nikal kar
wo le gaya hai jism se sansen nikal kar

laute to ye na soche ki khat jhut-mut the
main rakh chala hun baam par aankhen nikal kar

mere kafan ke band na bandho abhi mujhe
milna hai ek shakhs se banhen nikal kar

kya zarf hai darakht ka hairat ki baat hai
milta hai phir khizan se jo shakhen nikal kar

tu hi bata ki aankh ke shamshan ghat mein
kaise basa lun main tujhe lashen nikal kar

har shakhs apne qad ke barabar dikhai de
sochen jo darmiyan se zaten nikal kar

chaho to kar lo shauq se tum bhi hisab-e-wasl
ek pal bachega hijr ki raaten nikal kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close