apni auqat zamana ko batate aae tum jidhar aae udhar aag lagate aae hum ko mahfil mein talluq ka bharam rakhna tha dushmanon ko bhi gale apne lagate aae bas yahi un ka karam hum pe bahut bhaari hai jab wo aae to karam apna jatate aae ek aahat bhi dara deti hai tanhai mein khwab jab aae tere mujh ko daraate aae khud ka ghar phus ka hai yaad nahin tha shayad ghar mein ham-sayon ke wo aag lagate aae aaina qad ke barabar ho zaruri to nahin aisi chahat mein wo kyon jaan khapate aae