apni be-chehragi bhi dekha kar roz ek aaina na toda kar tu jidhar jae din nikal aae raushni ka mizaj paida kar ye sadi bhi kahin na kho jae apni marzi ka koi lamha kar dhup mein istiara baadal ka tu agar hai to yar saya kar chaara-sazi to kar rahe hain gham tu mere aansuon ka sauda kar jaane kab chhod kar chali jae zindagi ka na yun bharosa kar masale hain to hal bhi niklenge pas aa sath baith charcha kar