apni kaifiyyaten har aan badalti hui sham munjamid hoti hui aur pighalti hui sham dagmagati hui har-gam sambhalti hui sham khwab-gahon se udhar khwab mein chalti hui sham gundh kar motiye ke haar ghani zulfon mein aariz-o-lab pe shafaq surkhiyan malti hui sham ek jhalak poshish-e-be-zabt se uryani ki de gai din ke nashebon se phisalti hui sham ek sannata rag-o-pai mein sada gunjta hai bujh gai jaise lahu mein koi jalti hui sham waqt baptisma kare aab-e-sitara se use dast-e-duniya ki daraazi se nikalti hui sham