apni kami se puchh na us ki kami se puchh ismat ka bhaw jism ki bechaargi se puchh ghaaron mein rahne walon ki shaistagi ka qad sadkon pe raqs karti hui aagahi se puchh mujh mein ye intishaar ye nafrat hai kis liye guzre hue samaj ki diwangi se puchh dali se chhut jaane ka anjam kya hua barg-e-khizan-rasida ki aawargi se puchh ashkon mein iltijaon mein taqat nahin hai kyun zehnon pe raj karti hui be-hisi se puchh khulne ke intizar mein jo zard ho gai rang-e-suluk baad-e-saba us kali se puchh bandon ke silsile mein bahut tu ne kah liya allah apne bare mein kuchh aadmi se puchh