apni khata ki rakh ke dil zauq-e-khalish na pa sake aql ki jhidkiyan sahin par na fareb kha sake hijr bhi ek wahm hai wasl bhi ek fareb tha kho ke na tum ko kho sake pa ke na tum ko pa sake teri nazar ne bazm mein uth ke hamein bitha diya utthe to bar bar hum uth ke magar na ja sake jurat-e-tark-e-ashiqi mujh se na ho saki kabhi apne ko aazma liya tum ko na aazma sake kahte hain marifat jise wo bhi hai e'tiraf-e-ijz us ko khuda samajh liya jo na samajh mein aa sake ishq usi ka mustanad shauq usi ka mo'atabar teri nigah se bhi jo raaz-e-nazar chhupa sake bas isi talkh yaad par khatm hai dastan-e-dil tum ne hamein bhula diya hum na tumhein bhula sake aae wo mai-kade mein kyon us ki jagah haram mein hai aankh bacha ke jo piye pi ke na ladkhada sake wo jo hai banda-e-wafa kahte hain sab jise 'raza' us ki bhala majal kya tum se nazar mila sake