apni khoi hui tauqir numayan kar den kyun na tariki-e-mahfil ko farozan kar den nur-e-sultana-o-raziya ki hamiyyat ki qasam gumbad-e-charkh ko ek bar to larzan kar den fatima-zahra ke dil-doz tahammul ki qasam azmat-e-rafta se duniya mein charaghan kar den jabr aur zulm ki buniyaad ko dah kar bahno aao ab himmat-e-mardana ko hairan kar den tafraqe sare ye aapas ke mita dalen hum aao ab jurat-e-niswan ko numayan kar den hind viran hua hum ko hi 'makhfi' rakh kar utho is ujde gulistan mein bahaaran kar den