apni majburi ko hum diwar-o-dar kahne lage qaid ka saman kiya aur us ko ghar kahne lage darj hai tarikh-e-wasl-o-hijr ek ek shakh par baat jo hum tum na kah pae shajar kahne lage khauf-e-tanhai dikhata tha ajab shaklen so hum apne sae hi ko apna ham-safar kahne lage bastiyon ko bantne wala jo khat khincha gaya khat kashida log us ko rah-guzar kahne lage awwal awwal doston par naz tha kya kya hamein aakhir aakhir dushmanon ko mo'tabar kahne lage dekhte hain ghar ke rauzan se jo nila aasman wo bhi apne aap ko ahl-e-nazar kahne lage