apni pursish jo ho arbab-e-wafa se pahle mangiye daulat-e-didar khuda se pahle jhuk gaya wo shah-e-husn aa ke gada se pahle kham hui zulf-e-dota qadd-e-dota se pahle chashm-e-mushtaq ladi chashm-e-dota se pahle samna hoga balaon ka bala se pahle tu har ek asfal-o-ala ka hai razzaq karim ustukhwan sag ko pahunchta hai huma se pahle baad-hu chehra-e-jaanan ke muqabil ai charkh chand munh us ke milae kaf-e-pa se pahle baad bhi zikr kiya ho jo wafadari ka sar qalam kijiye shamshir-e-jafa se pahle khun-e-dil hijr mein pita hun to gham khata hun ki dawa pite hain bimar ghiza se pahle shauq-e-gul surat-e-bulbul khatar-e-gulchin hai subh-dam bagh mein jata hun saba se pahle ghaflat-e-qalb se zuhhad padhen baad-e-namaz barahman sajda kare but ko khuda se pahle takht-e-tabut rawan bhi hai ajab takht-e-rawan shah takiye mein pahunchta hai gada se pahle misl-e-musa mujhe ghash aae na ho tum ko hijab wada-e-wasl jo ifa ho haya se pahle shokh ne mehndi mali hath mein main qatl hua rang laega lahu rang-e-hina se pahle pa-e-qatil jo pas-e-marg bhi thokar mare nazr sar kijiye taslim-o-raza se pahle ru-ba-ru tere hua asfal-o-ala ka zuhur ilm-e-khaliq mein tu tha arz-o-sama se pahle kya bayan rutba-e-ala-e-ali ko main karun sair-e-mearaj ki mahbub-e-khuda se pahle dast-giri jo hai bande ki khuda ko manzur uthte hain dast-e-dua 'arsh' dua se pahle