apni sunaen aap ki puchhen aapas ke gham dur karen

apni sunaen aap ki puchhen aapas ke gham dur karen
chand ashaar hain pesh-e-khidmat aap agar manzur karen

wusat mein kuchh farq nahin hai izzat ho ya ruswai
donon dur talak le jaen donon hi mashhur karen

aashiq se mahbub juda ho ya gul bichhde bulbul se
hijr ke sadme achchhe khase chehron ko be-nur karen

jalwa-ba-jalwa hai wo nazar mein aur wahi jab dil ka makin
kyon dohraen qissa-e-musa kyon phir zikr-e-tur karen

aao pas hamare baitho tum jo ho wo samjhaen
tum jo nahin ho wo bhi kah kar aur tumhein maghrur karen

roz ye thanen us ki gali mein ab na kabhi rakkhenge qadam
kya kije gar dil ke taqaze rozana majbur karen

hum danista tum ko bhulaen tum mutawatir yaad karo
yun duniya-e-ishq mein raij ek naya dastur karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close