apni takhliq mein apna hi hunar jagta hai waqt lagta hai magar sach ka asar jata hai baat chhoti hi agar dhang se kah de koi sunne wale mein tajassus ka asar jagta hai shisha-paikar ho to patthar se nibhae rakho ye saliqa jise aata hai wo ghar jagta hai zindagi nam hai jine ka to zinda sab hain pyar milta hai to khwabon ka shajar jagta hai pyar ka apna muqaddar hai judai 'sima' warna har raat hi aanchal mein qamar jagta hai