apni taqdir se baghawat ki By Ghazal << dil KHun hai gham se aur ... ishaare kya nigah-e-naz-e... >> apni taqdir se baghawat ki aaj hum ne bhi ek ibaadat ki kaun hai jis ke sar ki khaen qasam kis ne hum se yahan mohabbat ki aur kya hai ye ghar ka sannata ek aawaz hai mohabbat ki hum ko mitna tha mit gae 'nuri' chah mein ek be-murawwat ki Share on: