apni tashhir kare ya mujhe ruswa dekhe

apni tashhir kare ya mujhe ruswa dekhe
wo mere waste is shahr mein kya kya dekhe

lamha-e-rafta ko aawaz to deti hogi
aaina aaina jab koi wo mujh sa dekhe

sham ki aakhiri sarhad pe meri tarah koi
apni barbaadi ka khud hi na tamasha dekhe

apne bachchon ko dua deta hun ye sham o sahar
meri hi tarah ye duniya tumhein hansta dekhe

pesh-e-aina main ab us ko sanwarta dekhun
sidhiyon se jo mujhe roz utarta dekhe

kis ne mangi thi sar-e-sham dua mere liye
aaj ki raat tujhe chand na tanha dekhe

main chala jaun to wo der talak khidki se
sham ki dhund mein sach-much mera rasta dekhe

mere khwabon ki sadaqat ko zaban mil jae
subh-dam junhi 'ziya' apna wo chehra dekhe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close