aql par patthar pade ulfat mein diwana hua dil jo ek muddat se apna tha wo begana hua kah gaya jo ji mein aaya aisa diwana hua bund mein kam-zarf ka labrez paimana hua sachchi baaton mein bhi hota hai qayamat ka asar tazkira mera ajab dilchasp afsana hua bad-numa samjha gaya paiwand-e-istighna-o-hirs nang dalq-e-faqr-e-kashkol-e-gadayana hua rang-e-khullat se dil-e-shaida muraqqa ban gaya ye khuda ka ghar bhi is surat se but-khana hua mukhrib-e-buniyaad-e-asaish hai raftar-e-jahan bastiyan ujdin kabhi aabaad virana hua jaan hai mol us ka ai ishq-e-jawani jaan le naqd husn-e-yusuf-sani ka baiana hua tira-bakhti ki bala se yun nikalna chahiye jis tarah suljha ke zulfon ko alag shana hua jazb-e-dil ye hai ise kahte hain baatin ki kashish un ke partaw se munawwar mera kashana hua kya shikayat us ki sahab apna apna rang hai ghair hain hum tum se jab ghairon se yarana hua mil gae donon mein thi jalne ki quwwat ek san mail-e-jinsiyyat se juzw-e-shama parwana hua us ki shan-e-alam-arai pe ki jis dam nazar gosha-e-uzlat mera darbar-e-shahana hua qalib-e-khaki mein saqi tu ne phunki hai ye ruh qulqul-e-mina se paida shor-e-mastana hua khub hi rang-e-jawani sheb ne khoya 'habib' mahw dil se bhi khayal-e-ru-e-jaanana hua