aql par us ki gir pada patthar jis ne pars ko kah diya patthar qasr shishe ka jab hua tamir har taraf se baras gaya patthar sang-e-marmar wo kaise ban sakta fitratan jo siyah tha patthar wo buton ko khuda na kyon samjhe kaam jis ka hai pujna patthar dil ko dil se gazand yun pahunchi ek shisha tha dusra patthar aaine ka nahin muhafiz wo kaam jis ka hai marna patthar mom hota nahin kabhi 'nadim' khushnuma ho ki bad-numa patthar