asar kya ye teri jadu-bayani ka nahin tha

asar kya ye teri jadu-bayani ka nahin tha
main bhigi thi magar ehsas pani ka nahin tha

bhatak kar apne qisse se wo tere pas aaya
magar kirdar wo teri kahani ka nahin tha

teri khwahish bhi shamil thi tere yun dubne mein
ye sara dosh bas dariya ke pani ka nahin tha

hawaon se bhi kya ladte wo kashti ke musafir
unhen kuchh ilm bhi to baadbani ka nahin tha

milega kya aji ban kar kisi raja ki rani
koi raja kabhi bhi ek rani ka nahin tha

taaqub mein tha tere khud samundar ai nadi par
tujhe ehsas hi apni rawani ka nahin tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close