ashk aankhon mein meri jaan liye baithi hun lab pe tere liye muskan liye baithi hun tum bhi meri tarah kuchh thos irada kar lo main nibha dene ke paiman liye baithi hun jald aa jao khizan aane se pahle pahle main bahaaron ke kuchh ehsan liye baithi hun ek muddat se teri rah mein bichhi hain aankhen main shab-e-wasl ke arman liye baithi hun mujh ko dar hai na kahin zabt ki gir jae fasil aankhon mein ashk ka tufan liye baithi hun wo mere pyar ki khushbu se nahin hai waqif apne daman mein gulistan liye baithi hun