ashk baqi koi ab dida-e-giryan mein nahin phir bhi to koi kami sozish-e-pinhan mein nahin aarzu mujh ko kisi shahid-e-gul ki kya khub meri qismat ke to kante bhi gulistan mein nahin fasl-e-gul aai to kya haif pae nazr-e-bahaar ab to ek tar bhi baqi mere daman mein nahin zauq-e-nazzara pe hai azmat-e-jalwa mauquf dilkashi warna koi jalwa-e-jaanan mein nahin sahab-e-ilm-o-fan-o-fikr-o-nazar hai 'athar' rabt-e-baham magar is daur ke insan mein nahin