ashk-e-gham wo hai jo duniya ko dikha bhi na sakun aur gir jae zamin par to utha bhi na sakun ye mere gham ka fasana hai rahega lab par teri rudad nahin hai ki suna bhi na sakun partaw-e-husn hun is waste mahdud hun main husn ho jaun to duniya mein sama bhi na sakun tez kuchh waqt ki raftar nahin hai lekin tum agar sath na do panw badha bhi na sakun ab wahi log bigadi hai jinhon ne qismat chahte hain ki main taqdir bana bhi na sakun aaj nakaam sahi kal ka bharosa hai mujhe ishq phir kya jo tujhe apna bana bhi na sakun dil kahan ek siyah-khana hai ranj-o-gham ka is qadar dagh lage hain ki mita bhi na sakun dil ki gahrai se ai dost zara kah to sahi jaan aisi to nahin jis ko ganwa bhi na sakun umr guzri kabhi saqi ne 'falak' ye na kaha itni pi le ki tujhe hosh mein la bhi na sakun