ashk hain gham hai la-shuuri hai yani apni kahani puri hai ham-safar to hain ham-khayal nahin hae ye kis tarah ki duri hai wasl ki aarzu hai jaez par ishq mein hijr bhi zaruri hai phir wahi main hun phir wahi chaukhat phir koi aarzu adhuri hai ishq se kaise munh churaen hum apna pesha hi ji-huzuri hai