ashk ho aankhen bhigona ho to phir aankh mein sapna salona ho to phir kab talak bakhiya-gari ka shauq bhi umr bhar sina pirona ho to phir dost internet par achchha chalo aur gale jo lag ke rona ho to phir wo meri dil-jui ko hazir magar us ka hona bhi na hona ho to phir us ko pane ki talab par soch lo us ko pana us ko khona ho to phir nazuki to sikhi us ne phul se titliyon ka bojh dhona ho to phir yun jo khush ho us ko hansta dekh kar us ka hansna us ka rona ho to phir yun to gajron se kalai saj gai chah us ki chandi sona ho to phir log kahte hain ki duniya gol hai muflisi kona-ba-kona ho to phir 'ahmad' apne dil ko khush karne chale aur gham dil ka khilauna ho to phir