ashk jab dida-e-tar se nikla ek kanta sa jigar se nikla phir na main raat gae tak lauta dubti sham jo ghar se nikla ek mayyat ki tarah lagta tha chand jab qaid-e-sahar se nikla mujh ko manzil bhi na pahchan saki main ki jab gard-e-safar se nikla hae duniya ne use ashk kaha khun jo zakhm-e-nazar se nikla ek amawas ka nasiba hun main aaj ye chand kidhar se nikla jab uda jaanib-e-manzil 'akhtar' ek shoala mere par se nikla