ashk ko dariya banaya aankh ko sahil kiya

ashk ko dariya banaya aankh ko sahil kiya
main ne mushkil waqt ko kuchh aur bhi mushkil kiya

ek mayusi hi dil mein kab talak rahti mere
main ne mayusi mein dil ka khauf bhi shamil kiya

nind ki imdad jaise hi baham pahunchi mujhe
aankh ke maqtal mein apne khwab ko dakhil kiya

warna tera chhod jaana jaan le jata meri
karb mein aansu mila kar dard ko zail kiya

jaise duniya dekhti hai waise kab tak dekhte
dida-e-bina se dekhen khud ko is qabil kiya

ek chehra aur do aankhen le gae bazar mein
girwi rakh ke un ko phir ek aaina hasil kiya

warna wo kab baat sunta tha kisi ki bazm mein
main ne apne sher se us shakhs ko qail kiya

be-niyazi se guzare umr ke battis sal
kho diya kab jaane tujh ko kab tujhe hasil kiya

raat-din ulta latak kar zat ke kuen mein 'zeb'
soch ki na-pukhtagi ko mashq se kaamil kiya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close