ashk ko raegan samajhte ho tum mera dukh kahan samajhte ho sach batao phir apne bare mein gar mujhe raaz-dan samajhte ho shab-gazida hun dil-shikasta nahin aag hun main dhuan samajhte ho sunte rahte ho kyon tawajjoh se kya meri dastan samajhte ho kya samajhte ho tum agar tum bhi ishq ko imtihan samajhte ho ghum kar dekhte ho duniya ko raaz-e-kaun-o-makan samajhte ho main 'fida' hun tumhaari aankhon par aur tum nim-jaan samajhte ho