ashkon ne yun shor machaya aankhon ke paimanon mein

ashkon ne yun shor machaya aankhon ke paimanon mein
jaise bauchhaaren barsin hon tin pade dalanon mein

suraj ka sab zo'm takabbur lamhon mein bhar lete hain
baadal ke kuchh ziddi tukde apne thande shanon mein

ummidon ke dip jalae aankhon mein chhoti chhoti
hanste hain kuchh bhuke bachche ghurbat ke zindanon mein

nafrat dhoka bughz tassub jhut dikhawa khud-gharazi
kaise kaise zahr bhare hain insan ki shiryanon mein

bachpan ki ek dost qaribi jis jhagde mein ruthi thi
aaj bhi hai wo tuti gudiya yaadon ke samanon mein

laila majnun ke qisse ab sanduqon mein band hue
ishq mohabbat wali ghazlen bosida diwanon mein

jangal wale khun-kharabe jhuti baaten lagti hain
insanon ki basti ki hai dhum machi haiwanon mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close