asir-e-hijr ki aab-o-hawa badalne ko kabhi khushi bhi mile zaiqa badalne ko mera hijab sulagta hai jis ki hiddat se tum us nazar se kaho zawiya badalne ko main tere shahar se nikli to mud nahin dekha agarche log mile bar-ha badalne ko main jis ke naqsh-e-qadam chumne ko nikli thi usi ne mujh se kaha rasta badalne ko hazar zakhm sahe aur phir yahi socha chalo ek aur sahi tajraba badalne ko gar us ka sath mile to sitare mil jaen wo na-guzir hua zaicha badalne ko mile hain hum kabhi phir se juda na hone ko chalo ye farz karen faisla badalne ko yahan pe khud ko badalna hai gar badalna hai so tum se kis ne kaha hai khuda badalne ko wo khud to kho chuka duniya ki bhid mein 'iman' mujhe bhi kah gaya apna pata badalne ko